SHAAM K BAAD

Tu Ne Dekha Hey Kabhi Aik Nazar Shaam Ke Baad

Kitney Chup Chaap Se Lagtey Hein Shahar Shaam Ke Baad




Itney Chup Chaap Ke Rastey Bhi Rahenge La-Elm

Chor Jaayenge Kissi Roz Nagar Shaam Ke Baad



Maine Aisey He Gunah Teri Judai Mein Kiye

Jaise Toofan Mein Koye Chor Dey Ghar Shaam Ke Baad



Shaam Se Pehley Woh Mast Apni Uraanoun Mein Raha

Jin Ke Haathoun Mein Thay Tootey Huey Par Shaam Ke Baad



Raat Beeti Tou Giney Aabley Aue Phir Socha

Kaun Thaa Baa’es-e-Aghaz- e-Safar Shaam Ke Baad



Tu Hey Suraj Tujhey Maloom Kahan Raat Ka Dukh

Tu Kissi Roz Maire Ghar Mein Uttar Shaam Ke Baad



Laut Aaye Na Kissi Roz Woh Awaara Mizaaj

Khol Rakhtey Hein Issi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

No comments: